Long Hair

Posted by Apki Sahet on February 10th, 2021

Sar k baal insaan ki shaksiyat ka intehai aham juzz hain jo k apki shaksiyat main nikhar laaty hain or apko khubsurat nazar anay main madad faraham karty hain. Balon ka girna or ganj pan aik aisi beemari hai jis sy insan aksar depression ka shikaar ho jata hai. Balon ka girna duniya bhar main sab sy bara masla hai jis sy har 10 main sy 7 mard hazraat mutasir hoty hain. Aik andazy k mutabiq din main 100 sy zaied baal qudarti tor par jhar jaty hain jo k normal samjha jata hai. Lehaza agar aap ke baal isi miqdar main gir rahy hain to pareshan hony ki bilkul zarurat nhe. Is article main hum apko Baal Lambe Karne Ka Tarika (Tips For Long Hair) or balon ko girny sy rokny ke liye ilaj batain gy.

Baal Girnay Ki Wajoohat

Balon k jharny ki bohat sari wajoohat ho sakti hain. In wajoohat main ghiza ki kami, garam taseer wali adwiyaat ka ziyada istemal, pareshani, fizai aloodgi or jeeniyaat shamil hain. 30 saal ki umar k baad aksar khawateen hormones main adam tawazun ka shikar ho jati hain jo k balon k jharny ka sabab banta hai. Is k ilawa jo mard hazraat topi (cap) ka ziyada istemal karty hain un main bhe balon ka girna aik aam baat hai.

Baal Lambe Karne Ka Tarika

BAQAIDAGI SY BALON KO SHAMPOO KARAIN

Apnay balon ko baqaidagi sy kisi bhe shampoo sy dhoain. Balon or sar ki jild ko saaf rakhny k lye baqaidagi sy sar ko dhonay sy balon k jharny ko kisi had tak roka ja sakta hai. Baal baqaidagi sy dhony sy aap infection, khushki or sikri jesy masail jo k balon ko kamzor karty hain, sy bachy rehty hain.

VITAMINS KA ISTEMAL

Vitamins na sirf majmui tor par sehat or tandarusti ke lye mufeed hain, balky aap k balon k lye bhe bohat he faida mand hain. Vitamin A sar ki jild k sebum ki sehat mant paidawar ki hosla afzai karta hai. Vitamin E sar ki jild main doran-e-khoon ko behtar tor par banaye rakhta hai ta k balon ka rang or unki sehat barqarar rahy.

PROTEIN SY BHARPOOR GHIZA KA ISTEMAL

Surkh gosht, machli, soya or doosray protein khany sy balon ki sehat ko farogh milta hai.  Jis k nateejy main balon ko jharny sy rokny main madad milti hai.

SAR KI JILD KA MASSAGE

Jo log jin ke baal jhar rahy hain un ke liye zaruri hai k wo is baal lamby karne ka nuskha istemal karain. Is nuskhy ke istemal sy apkay balon ko mily jaron sy mazbooti. Payen mazboot ghany, chamakdar, or sehatmand baal.

GEELAY BALON MAIN KANGHI SY PARHAIZ

Geelay balon ko kanghi karny sy parhaiz karain. Geelay baal kamzor tareen halat main hoty hain or kanghi karny sy kamzor ho kar toot jaty hain. Behtar ye hai k geelay balon main kanghi karny ki bajaye aap apnay haath sy uljhanain nikalain.

ADRAK, PIYAAZ OR LEHSAN K RUS KA MASSAGE

Adrak, piyaaz or lehsan ka rus balon k lye intehai mufeed tonic hai jo k aap ky balon ko chamakdar banata hai or jarron sy mazbooti faraham karta hai. Lehaza is ka massage hafty main aik baar apna mamool banain or baal girny sy nijaat pain.

APNY AAP KO HYDRATED RAKHAIN

Balon ki jaron main aik chothai paani shamil hota hai lehaza aik din main kam sy kam 4-8 glass paani piyen. Apny aapko hydrate rehny k lye bohat zaruri hai ke pani ka kasrat sy istemal karain. Is sy aap ke balon ki sehat bhe batareen hoti hai.

SABZ CHAYE (GREEN TEA) KA MASASAGE

Tehqeeqat sy pata chalta hai k sabz chaye (green tea) ka balon main massage karny sy balon k jharny k masail kam ho jaaty hain. Aik cup paani main 2 teabag green tea ke tayyar kar k thanda hony ke lye rakh dain. Aik hafty tak is sy apnay balon main massage karain or aik ghanty baad apny baal dho lain. Behtareen nataij dekhny ke laye kam sy kam 10 din tak baqaidagi sy istemal karain.

CARBOHYDRATED MASHROOBAAT SY GURAIZ KARAIN

Agar aap carbohydrated mashroobat peeny ke aadi hain to foran apni is aadat ko khatam kar dain. Kiyun ke carbohydrated mashroobat bohat sy masail paida karti hai. In mashroobat ki wajah sy aap ke sar sy baal bhe girna shuru ho sakty hain. Isi tarha cigarette noshi bhe aap ke balon ki sehat k lye intehai nuqsan deh hai. Cigarette noshi aap ki sar ki jild main khoon ki rawani mutassir karti hai or balon ki nisho numa main kharabi paida karti hai.

JISMANI WARZISH

Har roz jismani warzish or degar jismani sargarmiyon ko apni zindagi ka hissa banain. Din main kam sy kam 30 minute tak paidal chalain. Teraki (swimming) or cycle chalana bhe aik behtareen jismani sargarmi hai. Is sy aap ke jism main hormones ki satah matwazan rehti hai. Jis sy baalon ke girny ki raftaar ko kam kia ja sakta hai.

BALON KI NISHO NUMA K QUDARTI ILAAJ

Baal aap ke sar ka taaj hoty hain. Aam tor par dekha gaya hai ke agar aap k sar par baal aap ke itmenan k mutabiq nahi hain to aap pareshani ka shikar rehty hain. Apki koshish hoti hai ke kisi tarha aap apny balon ko behtar bana sakain. Agar aap apny khoye hue balon ko wapis lana chahty hain to baal bade karne ka tarika apnain. Is qudarti tariky ko apna kar aap apny baalon ko lamba or ghanna bana sakty hain.

KANWAR GANDAL (ALOE VERA)

Kanwar gandal (aloe vera) balon ke jharny or kamzor ho jany jesy masail k lye kafi arsy sy kamyaab ilaj sabit ho raha hai. Ye apky sar ki jild or balon ko bharpoor sehat faraham karta hai or khuskhi ko kam karny main bhe madadgar sabit hota hai. Isy istemal karny ka tareeka nehayat he asaan hai. Aap ko karna ye hai ka kanwar gandal ka godha hafty main aik baar apny sar ki jild par achi tarha sy lagain. Adhy ghanty baad apny shampoo sy sar ko dho lain.

NARIYAL KA TAIL (COCONUT OIL)

Nariyal main fatty acids paye jaty hain jo balon ki jarro main dakhil ho kar jild k andar sy balon ko mazboot banaty hain. Nariyal ka tail apky balon ko tor phor sy bachata hai. Aap apny balon ki sakht k mutabiq balon ko dhony sy pehly ya baad main nariyal ka tail istemal kar sakty hain. Iska tareeka istemal nihayat assan hai. Raat ko sony sy qabal apny sir ki jild par nariyal k tail ki malish karain or subh sar ko dho dalain. Nariyal ka tail balon ki mazbooti or unki chamak barhany k lye sadiyon se istemal hota araha hai.

MACHLI KA TAIL (FISH OIL)

Omega fatty acid ka istemal aap k balon ko jarron sy behtar banany main muawan sabit hota. Machli k tail main omega fatty acids paye jaty hain or ye tail apky balon k sehat k lye intehai zaruri hai. Machli k tail main fatty acids k miqdar badardja dusri cheezon k ziyada pai jati hai. Jis sy baalon ki lambai or inki mazbooti or kasafat ko behtar banany main madad milti hai.

AKLEEL KOHISTANI KA TAIL (ROSEMARY OIL)

Akleel Kohistani ka tail (rosemary oil) balon ki afzaish ko farogh deny or balon k jharny ko rokny k lye aik behtareen qudarti ilaaj hai. Isky istemal sy balon ki nai nasho numa hoti hai. Akleel Kohistani k tail sy sar ka massage karain or phir thori dair baad sar ko achi tarha sy dho lain.

BALON K MASAIL K LYE AJMALI NUSKHA

Har koi mazboot, sehatmand, siyah or chamakdar baal chahta hai. Balon ki khoobsurti apki shaksiyat ko nikharny main aham kirdar ada karti hai. Khubsurat baal apki umar ko bhe chupa dety hain, tahum mard or khawateen main balon ka kamzor ho kar girna aik aam masla hai. Asaabi tanao, zehni tanao, taweel bemari, or ghizai kami ki waja sy baal kamzor ho kar girna shuru ho jaty hain.

Balon ke girny ka aik or sabab geniyaati masail, or kuch deegar bemariyaan bhe ho sakti hain. In masail sy bachy k lye Dawakhana Hakeem Ajmal Khan laya hai apky lye Baal lambe karne ka nuskha (Tips For Long Hair). Yeh nuskha khalis arqiyaat or jari botiyon sy bana hai. Is ke istemal sy na sirf aap k baal girna band ho jain gy balky aap k balon ko jarron sy mazboot banany main bhe bohat he mufeed hai. Wo hazrat jo kisi waja sy ganjy pan ka shikar hain un ke liye bhe aik behtareen tohfa hai. Is nuskhe ke mustaqil istemal sy aap ke sar ki jild par naye baal ajain gy.

AJMALI NUSKHY KE FAWAID

Baal lambe karne ka nuskha mardon or aurton dono ke liye yaksan mufeed hai. Asi khawateen jo balon ki kami ka shikar hain wo baal lambe karne ka tarika (Tips For Long Hair) apnain. Wo khawateen jinhen shikayat hai k un ke sar ke baal ahista ahista kamzor ho kar toot rahy hain un ke liye bhe yeh nuska intehai mujarab hai. Yeh nuskha aap ke balon ko lamba or ghana karta hai or unki chamak or mazbooti barhata hai. Ganj pan or baalon ke girny ki wajah sy pareshan khawateen or hazraat baal lambe karne ka nuskha istemal karain. Aaj he ye nuskha istemal karna shuru karain or pareshani ko bhool jain. Payen haseen, ghany or lamby siyah baal.

Like it? Share it!


Apki Sahet

About the Author

Apki Sahet
Joined: February 9th, 2021
Articles Posted: 7

More by this author